badan ke donon kinaaron se jal raha hun main
ke chhu raha hun tujhe, aur pighal rahaa hun main
tujhi pe Khatm hai jaanaan mere zawaal[nadir] ki raat
tu ab tulu[appearing] bhi ho ja, ke dhal raha hun main
bula raha hai mera jaama-zeb milne ko
toh aaj perahan-e-jaan badal raha hun main
ghubaar-e-rahguzar[dust of the path] ka ye hausla bhi toh dekh
hawa-e-taaza ! tere saath chal rahaa hun main
main khwab dekh raha hun ke vo pukaartaa hai,
aur apne jism se baahar nikal raha hun main
No comments:
Post a Comment