Tuesday, June 16, 2009

khalil ur rahman azmi ki shayyiri

jalata nahin aur jal raha hun
kis aag mein main pighal raha hun
mefaluuj[useless] hain haath-paanv mere
phir zahan mein kyun chal raha hun
raayi ka bana ke ek parbat
ab iss pe khud hi phisal raha hun
kis haath se haath main milaaun
ab apne hi haath mal raha hun
kyon aaiina baar baar dekhun
main aaj nahin jo kal raha hun
ab kaun sa dar raha hai baaqi
uss dar se kyon main nikal raha hun
qadamon ke tale toh kuch nahin hai
kis cheez ko main kuchal raha hun
ab koi nahin raha sahara
main aaj se phir sambhal raha hun
ye barf hataao mere sar se
main aaj kuch aur jal raha hun

No comments:

Post a Comment

wel come