be-qaraari gayi, qaraar gaya
tark-e-ishq aur mujhko maar gaya
vo jo aaye toh khushk ho gaye ashq
aaj gham ka bhi aitbaar gaya
ham na hans hi sake, na hi ro sake
vo gaye ya har ikhtiyyar gaya
aap ki zid-e-be_mahal se kaleem
sab ki nazron ka aitbaar gaya
aa gaye vo toh ab ye rona hai
lutf-e-gham, lutf-e-intzaar gaya
kis maze se tere bagaiir 'khumar'
be_jiiye zindagi guzaar gaya
No comments:
Post a Comment