Wednesday, June 24, 2009

mohsin ki shayyiri

waffa mein ab yeh hunar ikhtiyyar karna hai
vo such kahe na kahe aitbaar karna hai
yeh tujhko jaagte rehne ka shauq kab se hua
mujhe toh khaiir tera intzaar karna hai
hawa ke zadd mein jalaane hain aansun ke chiragh
kabhi yeh jashn sar-e-raah guzaar karna hai
woh mukura ke nayi waswason mein dhal gaya
khayal tha keh usse sharmsaar karna hai
misaal-e-shaakh-e-barhna khizaan ki ruut mein kabhi
khud apne jism ko be-barg-o-baar karna hai
tere firaaq mein din kis tarha katte apne
keh shughal-e-shab toh sitaare shumaar karna hai
chalo yeh ashq hi moti samajh kar bech aayen
kisi tarha toh humen rozgaar karna hai
kabhi toh dil mein chhupe zakhm bhi numayan ho
qaba samajh ke badan taar taar karna hai
khuda khabar yeh koi zidd ke shauq hai 'mohsin'
khud apni jaan ke dushman se pyar karna hai

No comments:

Post a Comment

wel come