
tune mujhko kho diya,maine tujhe khoya nahin
neend ka halka gulabi sa khumar ankhon mein tha
yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahin
har taraf deewar-o-dar aur unn mein ankhon ke hujoom
keh sake jo dil ki halat vo lab-e-goya nahin
janta hun ek aise shaks ko mein bhi ‘munir’
gham se pathar ho gaya lekin kabhi roya nahin
No comments:
Post a Comment