apni dhun mein rehta hun
main bhi tere jaisa hun
O ! pichli ruut ke saath
ab ke baras main tanha hun
teri gali mein sara din
dukh ke kankar chunta hun
mera diya jalaye kaun
main tera khali karma hun
apni lehar hai apna rog
dariya hun aur payasa hun
aati ruut mujhe royegi
jaati ruut ka jhokha hun
apni dhun mein rehta hun
main bhi tere jaisa hun
No comments:
Post a Comment