Tuesday, June 16, 2009

umeed fazli ki shayyiri

kab talak pyaas ke sehara mein jhulsate jaayen
ab ye badal jo uthe hain toh barsate jaayen
kaun batlaye tumhen kaise vo mausam hain ki jo
mujhse hi duur rahen mujh mein hi baste jaayen
haaye kya log ye aabad huye hain mujh mein
pyar ke lafz likhen lehaje se daste jaayen
aaiina dekhun toh ik chehre ke be-rang naquush
ek nadiida-sii zanjiir mein kaste jaayen
juz muhbbat kise aaya hai mayassar ummiid
aisa lamha ki jidhar sadiyon ke raste jaayen

No comments:

Post a Comment

wel come