Friday, June 12, 2009

unknown


tere badan se chura ker mehak hawa degi
zakhm ko rang hara shokhi-e-saba degi
mujhe yaqeen hai jab mera tazkara hoga
woh kuch kahe na kahe aankh muskura degi
mera her sher teri yaadon se aashna yun hai
meri her ghazal mere dard ka pata degi
main kuch kahon na kahon lab se magar yeh meri ghazal
dua ko ek naya tarz-e-iltija degi
jo khud ko bashar kahe aur dare bashar se hi
khuda ki gaibi madad saath usska kiya degi
tere khayal ki khushbu tere lafzon ki mehak,
mujhe yeh darr hai ke shayar mujhe bana degi
main tanha tha toh nahi zurm-e-muhbbat se qabal
kya khabar thi ke woh tanhayi ki sazaa degi...!!!

No comments:

Post a Comment

wel come