Thursday, June 25, 2009

unknown

jidhar bhi dekhti hoon tanhaai nazar aati hai
aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai
main kaise karun gila dil ke zakhmon se huzoor
aansu chhalkte hain meri surat nikhar jaati hai
tod diye hain maine apne ghar ke saare aaiine
meri rooh mera hi chehra dekh ke darr jaati hai
ro ke halke ho lete hain zara se teri yaad mein...
zara si na-muraadon ki tabiyat sudhar jaati hai
asar karti yakiinan gar chhu jaati unnke dil ko lekin
afsoos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai
mai_kade mein jab bhi zikr aata hai tere naam ka
shaam ki pee hui sar-e-shaam hi utar jaati hai
kabhi aa ke mere zakhmon se muqaabila toh kar
ae khushi tu munh chhuppa ke kidhar jaati hai
tujhe innhi kaanton pe chal ke jaana hoga
unnke ghar ko bas yahi ek rehguzar jaati hai.......

No comments:

Post a Comment

wel come