jiski tujhe talash woh manzil nahin hun main
beshak tere safiine ka sahil nahin hun main
tu lakh bekhabar ho jo mujhse toh kya hua
ik lamha teri zaat se ghafil nahin hun main
phir aaj ho gayi hai saza beqasoor ko
kehta hi reh gaya woh ke qatil nahin hun main
sab se nahi dil ke zakhm chupaaon toh kya karoon
elaan-e-ranj-e-ishq ka qayal nahin hun main
zalim samjh saka nahi mere khamshee ka raaz
sabir hun ahl-e zarf hun buzdil nahin hun main
main khush ke meri zeest ka hasil hai sirf tu
tu khush ke teri zeest ka hasil nahin hun main
meri dua mein kyun nahin ma’bood ab asar
ke aaj tere rahm ke qaabil nahin hun main
tanqeed-e-ahl-e-ilm pe aansu bahaon main
ae “dil” ab aisa bhi jahil nahin hun main
No comments:
Post a Comment