Tuesday, June 23, 2009

unknown

duniya ki mehfilon se ukta gaya hun yaa rab
kya luft-e-anjum ka jab dil hi bujh gaya ho
shorash se bhagta hun dil dhondta hai mera
aisa sakoot jis par taqreer bhi fida ho

marta hun khamshi par, yeh aarzu hai meri
daman mein koh ke ek chota sa jhonpda ho
aazad fikar si hon, uzlat mein din guzaron
duniya ke gham ka dil se kaanta nikal gaya ho

lazzat suurd ki ho chidyon ke chehchahon mein
chashme ki shorashon mein baja sa baj raha ho
gul ki kali chatak kar pegham de kisi ka
sagar zara sa goya mujhko jahan_numa ho

ho hath ka sirhana, sabza ka ho bichona
sharmae jis se jaloot, khaloot mein vo ada ho
manoos iss qadar ho surat se meri bulbul
nannhe se dil mein isska khatka na kuch mera ho

saf bandhe donon janib bote hare hare hon
naadi ka saaf paani tasveer le raha ho
ho dil fareb aisa kehsaar ka nazara
paani bhi mauj ban ke utth utth ke dekhta ho

aghosh main zameen ki soya hua ho sabza
phir Phir ke jhadion mein paani chamak raha ho
paani ko chuu rahi ho jhuk jhuk ke gul ki tehni
jaise hasiin koi aaiina dekhta hon

mehndi lagae suraj jab sham ki dulhan ko
surkhi liye sunehri har phool ki quba ho
raaton ko chalne wale reh jaayen thak ke jis dam
umeed innki mera toota hua diya ho

nijli chamak ke innko kutiya meri dekhaye
jab aasman pe har suu badal ghira hua ho
pichle pehar ki koyal, vo subha ki moazzan
main isska ham_nawa hon, wo meri hamnawa ho

kanon pe ho na mere der-o-haram ka ahsaan
rozan hi jhonpdahi ka mujhko sahar_numa ho
phoolon ko aaye jis dam shabnam wazuu karane
rona mera wazuu ho, nala meri dua ho

iss khamoshi mein jaayen itne buland naale
taaron ke qaafle ko meri sada dara ho
har dardmand dil ko rona mera rula de
behosh jo pade hain shayad unnhen jagade

No comments:

Post a Comment

wel come