Sunday, June 14, 2009

unknown

yun kisi aur ko dukh dard sunaaon apne
apni ankhon se bhi main zakhm chupaaon apne
main toh qayam hon tere gham ki badaulat varna
yun bikhar jaaon ke khud hath na aaon apne
shair logon ke bohat yaad hain auron ke liye
tu mile toh main tujhe shair sunaaon apne
sochta hon ke bujha dun main ye kamre ka diya
apne saaye ko bhi kyun sath jagaaon apne
usski talwar ne vo chal chali hai aisi
paaon katen hain agar hath bachaaon apne

No comments:

Post a Comment

wel come