Friday, June 12, 2009

unknown

gham-e-firaaq se pehle shab-e-visaal ke baad
hai aur kya jise dekhien tere jamaal ke baad
tamam umar katti intzaar mein apni
koi bhi dukh na milla phir tere malal ke baad
jawab mil gaya mujhe teri khamoshi se
tumhare lafz kyun khoye mere sawaal ke baad
tumhare mere talluq pe yun khizaan chaii
kabhi urooj nahi hai jise zawal ke baad
main teri yaad ke chehre ko dhanp dun lekin
bachega kya meri jholi mein iss kamaal ke baad
vo ab ki baar mila iss qadar takalluf se
ke kuch bhi na pooch paya main usse haal ke baad

No comments:

Post a Comment

wel come