Friday, July 24, 2009

aaj ki raat bhi guzregi


yaad mehkati rahegi teri sandal ki tarah..
aaj ki raat bhi guzregi meri kal ki tarah
woh mere kunche mein aata hai chala jata hai
sukhe kheton se guzar jata hai badal ki tarah
tum jo thay duur toh ik pal bhi tha mere liye din
aur ab din bhi guzar jaate hain ik pal ki tarah
boo-e nafrat se ilahi innhen kar de aazad
dil bhi ho jaayen moattar kise sandal ki tarah
mujh pe karna hai karam tum ko toh paiham karna
aarzi lutf hai ek jaur-e musalsal ki tarah
jis taraf dekhiye bas jang ki tayyari hai
sari duniya hi nazar aati hai maqtal ki tarah
arzoo' dil hai mera shahr ki manind magar
kitni viraani hai iss shahr mein jangal ki tarah

No comments:

Post a Comment

wel come