Wednesday, July 8, 2009

aarzoo luckhnavi ki shayyiri

zamanaa yaad tera ae dil-e-nakaam aata hai
tapak padate hain aansu jab waffa ka naam aata hai
waffa tumse karenge dukh sahenge naaz uthaayenge
jise aata hai dil dena usse har kaam aata hai
akele karvaten hain raat bhar bistar pe aur ham hain
kahan pehlu ko khali dekh kar aaraam aata hai
hasinon mein basar kar di jawani 'arzoo' ham ne
laganaadil ka seekhe hain yahi ik kaam aata hai

No comments:

Post a Comment

wel come