tujhse bichad jaane ka tasvvur zehan mein jab bhi aata hai
saat samandar paar ka sapna sapna hi reh jaata hai
shab-e-judai hizr mein tere kaise guzarti hai humdam
dil mein khalish sii uthati hai aur soze-duroon badh jaata hai
ek anjana khauff sa taari ho jaata hai shab-e-firaq
jaane tu kis haal mein hoga soch ke dil ghabrata hai
kaifo-suroor-o-masti se sarshaar hai mera khaan-e-dil
meri samjh mein kuch nahin aata tujhse kaisa naata hai
hai teri tasveer-e-tasvvur kitni hasiin humdam mat puuch
aaja muzassam saamne mere kyun mujhko tarasta hai
tere dil mein mere liye hai koi na koi goshe-e-narm
yahi wajah hai dekh ke mujhko tu aksar sharmata hai
isski ghazalon mein hota hai ek tasalsul iss liye
rang-e-tagzzul ‘ahmad ali barqi’ ka sab ko bhata hai
No comments:
Post a Comment