Wednesday, July 8, 2009

amjad islam amjad ki shayyiri

zindagi ke mele mein
khwahishon ke rele mein
tumse kya kahen jaana
iss qadar jhamele mein
waqt ki ravani hai
bakht[fate] ki giraani[deficiency] hai
sakht bezameeni hai
sakht lamakaani[homelessness] hai
hizr ke samandar mein
takht[throne] aur takhtii[plank of wood] ki
ek hi kahani hai
tumko jo sunani hai

baat go zara si hai
baat umar bhar ki hai
umr bhar ki baaten kab
do ghadi mein hoti hain
dard ke samandar mein
anginat[countless] jaziiren[island] hain
beshumar moti hain
aankh ke dariiche[window] mein
tumne jo sajaaya tha
baat uss diye ki hai
baat uss gile ki hai
jo lahu ki khilvat mein
chor ban ke aata hai
lafz ke fasiilon[ramparts] par
tuut tuut jaata hai

zindagi se lambi hai
baat rat_jage ki hai
raste mein kaise ho
baat takhaliye[solitude] ki hai
takhaliye ki baaton mein
guftagu izaafii hai
pyaar karne waalon ko
ik nigaah kaafi hai
ho sake toh sun jaao
ek din akele mein
tum se kya kahen jaanan
iss qadar jhamele mein

No comments:

Post a Comment

wel come