Wednesday, July 8, 2009

asghar gondvi ki shayyiri

khuda jaane kahan hai 'asghar'-e-diwana barson se
ki ussko dhundhate hain kaaba-o-buutkhana barason se
tadpna hai na jalna hai na jal kar khaak hona hai
ye kyon soyi hui hai fitrat-e-parwana barason se
koi aisa nahin yaa rab ki jo iss dard ko samjhe
nahin mallum kyon khamosh hai diwana barason se
hasiinon par na rang aaya na phuulon mein bahaar aayi
nahin aaya jo lab par nagma-e-mastana barason se

No comments:

Post a Comment

wel come