Wednesday, July 8, 2009

asghar gondvi ki shayyiri

ye mujhse puuchhiye kya justju mein lazzat hai
fazaa-e-dahar mein tahaleel[immersed] ho gaya hun main
hata ke sheesha-o-sagar hujuum-e-masti mein
tamaam arsaa-e-aalam[whole world] pe chha gaya hun main
uda huun jab toh falak pe liya hai dam ja kar
zamiin ko tod gaya hun jo reh gaya hun main
rahi hai khaak ke zarron mein bhi chamak meri
kabhi kabhi toh sitaaron mein mil gaya hun main
samaa gaye meri nazaron mein chha gaye dil par
khayal karta hun unnko ki dekhta hun main

No comments:

Post a Comment

wel come