Thursday, July 9, 2009

aziz hamid madni ki shayyiri

firaaq se bhi gaye ham visaal se bhi gaye
subuk huye hain toh aish-e-malaal se bhi gaye
jo buut-kade mein thay vo sahiban-e-kashf-o-kamal
haram mein aaye toh kashf-o-kamal se bhi gaye
ussi nigah ki narmi se dagmaga gaye qadam
ussi nigah ke tevar sambhal se bhi gaye
gham-e-hayat-o-gham-e-dost ki kashakash mein
ham aise log toh ranj-o-malaal se bhi gaye
vo log jin se teri bazm mein thay hangame
gaye toh kya teri bazm-e-khayal se bhi gaye
ham aise kaun thay lekin qafas ki ye duniya
ke par-shikaston mein apni misaal se bhi gaye
charag-e-bazm abhi jaan-e-anjuman na bujha
ke ye bujha toh tere khad-o-khaal se bhi gaye

No comments:

Post a Comment

wel come