Thursday, July 9, 2009

bashir badr ki shayyiri

abhi iss taraf na nigah kar main ghazal ke palken sanvaar lun
mera lafz lafz ho aaiina tujhe aaiine mein utaar lun
main tamaam din ka thaka hua tu tamaam shab ka jaga hua
zara thahar ja issi mod par tere saath shaam guzaar lun
agar asmaan ki numaishon mein mujhe bhi izn-e-qayam[command to stop ho
toh main motiyon ki dukan se teri baaliyan tere haar lun
kai ajnabi teri raah ke mere paas se yun guzar gaye
jinhen dekh kar ye tadap hui tera naam le ke pukar lun

No comments:

Post a Comment

wel come