Thursday, July 9, 2009

bashir badr ki shayyiri


na jii bhar ke dekha na kuch baat ki
badi aarzu thi mulaqaat ki
kai saal se kuch khabar hi nahin
kahan din guzara kahan raat ki
ujaalon ki pariyan nahaane lagiin
nadi gungunaai khayalat ki
main chup tha toh chalti hawa ruk gayi
zuban sab samajhte hain jazbaat ki
sitaaron ko shayad kabhar hi nahin
musafir ne jaane kahan raat ki
muqaddar mere chashm-e-pura'ab ka
barsati hui raat barsaat ki

No comments:

Post a Comment

wel come