Thursday, July 9, 2009

bashir badr ki shayyiri

sar pe saaya sa dast-e-dua yaad hai
apne aangan mein ik ped tha yaad hai
jis mein apni parindon se tashbeeh thi
tumko skool ki vo dua yaad hai
aisa lagta hai har imtahan ke liye
zindgi ko hamara pata yaad hai
maikade mein azaan sun ke roya bahut
iss sharabi ko dil se khuda yaad hai
main purani haveli ka parda mujhe
kuch kaha yaad hai kuch suna yaad hai

No comments:

Post a Comment

wel come