Thursday, July 9, 2009

bashir badr ki shayyiri

main bhi shayad bura nahin hota
vo agar bewaffa nahin hota
bewaffa bewaffa nahin hota
khatm ye fasala nahin hota
kuch toh majbuuriyan rahi hongi
yun koi bewaffa nahin hota
jii bahut chahta hai sach bolen
kya karen hausala nahin hota
raat ka intazar kaun kare
aaj-kal din mein kya nahin hota
guftgu unnse roz hoti hai
muddaton saamna nahin hota

No comments:

Post a Comment

wel come