Thursday, July 9, 2009

bashir badr ki shayyiri

mere saath tum bhi duaa karo yun kisi ke haq mein bura na ho
kahin aur ho na ye hadsa koi raaste mein juda na ho
mere ghar se raat ki sej tak vo ik aansu ki lakeer hai
zara badh ke chaand se puchhna vo issi taraf se gaya na ho
[meri chahat se raat ki subah tak koi aansuuon ki lakeer hai
sar-e-sham thahari hui zamiin, aasamaan hai jhuka hua]
issi mod par mere vaaste vo charag le kar khada na ho
vo farishte aap hi dhundhiye kahaniyon ki kitaab mein
jo bura kahen na bura sune koi shaks unnse khafa na ho
vo wisal ho ke firaq ho teri aag mahakgi ek din
vo gulab ban ke khilega kya jo charag ban ke jala na ho
mujhe yun laga ki khamosh khushbu ke hont titali ne chhu liye
innhin zard patton ki out mein koi phuul soya hua na ho
issi ehatiyat mein main raha, issi ehatiyat mein vo raha
vo kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho

No comments:

Post a Comment

wel come