Thursday, July 9, 2009

bashir badr ki shayyiri

duusaron ko hamari sazaayen na de
chaandani raat ko bad-duaayen na de
phuul se aashiqi ka hunar seekh le
titaliyan khud rukengi sadaayen na de
sab gunaahon ka iqaraar karne lagen
iss qadar khubsurat sazayen na de
motiyon ko chhupa siipiyon ki tarah
bevafaaon ko apni vafaayen na de
main bikhar jaaunga aansuuon ki tarah
iss qadar pyaar se bad-duaayen na de

No comments:

Post a Comment

wel come