Thursday, July 9, 2009

bashir badr ki shayyiri

kabhi toh asmaan se chaand utare jaam ho jaaye
tumhare naam ki ik khubsurat sham ho jaaye
hamara dil savere ka sunhara jaam ho jaaye
charagon ki tarah aankhen jalen jab shaam ho jaaye
ajab haalat thay yun dil ka sauda ho gaya aakhir
mohabaat ki haveli jis tarah nilaam ho jaaye
samandar ke safar mein iss tarah aawaz do hamko
havaayen tez hon aur kashtiyon men shaam ho jaaye
main khud bhi ehtiyatan uss gali se kam guzarta hun
koi maasuum kyon mere liye badnaam ho jaaye
mujhe mallum hai usska thikana phir kahan hoga
parinda asmaan chhune mein jab naqaam ho jaaye
ujaale apni yaadon ke hamare saath rehne do
najaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye

No comments:

Post a Comment

wel come