Thursday, July 9, 2009

bashir badr ki shayyiri

ye chirag benazar hai ye sitaaraa bezuban hai
abhi tujhse milta julta koi dusra kahan hai
vahi shaks jispe apne dil-o-jaan nisaar kar dun
vo agar khaffa nahin hai toh zaruur badguman hai
kabhi paa ke tujhko khona kabhi kho ke tujhko paana
ye janam janam ka rishta tere mere daramiyan hai
mere saath chalnewale tujhe kya mila safar mein
vahi dukh bhari zamiin hai vahi gham ka asmaan hai
main issi guman mein barason bada mutma_in[satisfied] raha hun
tera jism betagaiyyur[unchanged] hai mera pyaar jaavidan[eternal] hai
unhiin raaston ne jin par kabhi tum thay saath mere
mujhe rok rok puuchha teraa hamasafar kahan hai

No comments:

Post a Comment

wel come