Thursday, July 9, 2009

bashir badr ki shayyiri

gham chhupate rahe muskurate rahe
mahafilon mahafilon gungunate rahe
aansuon se likhi dil ki tahariir ko
phuul ki pattiyon se sajaate rahe
ghazalen kumhla gayiin nazmen murjha gayiin
geet sanvala gaye saaz chup ho gaye
phir bhi ahal-e-chaman kitne khush_zauq thay
naghma-e-fasl-e-gul gungunate rahe
teri saanson ki khushbu labon ki mahak
jaane kaise havaayen udda laayiin thi
waqt ka har qadam bhi behakta raha
zaqt le paanv bhi dagmagaate rahe

No comments:

Post a Comment

wel come