Thursday, July 9, 2009

bashir badr ki shayyiri

vo chandani ka badan khushbuon ka saaya hai
bahut aziz hamen hai magar paraya hai
utar bhi aao kabhi asmaan ke ziine se
tumhen khuda ne hamare liye banaya hai
mehak rahi hai zamiin chandani ke phuulon se
khuda kisi ki muhabbat pe muskuraya hai
usse kisi ki muhabbat ka aitbaar nahin
usse zamane ne shayad bahut sataya hai
tamaam umar mera dam usse dhuen se ghuta
vo ik charag tha maine usse bujhaya hai

No comments:

Post a Comment

wel come