Monday, July 13, 2009

behzad lucknawi ki shayyiri

zinda hun iss tarah ki gham-e-zindagi nahin
jalta hua diya hun magar roshni nahin
vo muddaten huiin hain kisi se juda huye
lekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahin
aane ko aa chuka tha kinara bhi samne
khud usske paas meri hi nayya gayi nahin
honton ke paas aaye hansi , kya majal hai
dil ka muamla hai koi dillagi nahin
ye chand ye hawa ye fiza, sab hai maand maand
jo tu nahin toh inn mein koi dilkashi nahin

No comments:

Post a Comment

wel come