Monday, July 13, 2009

bekal utsaahi ki shayyiri

udas kagazi mausam mein rang-o-bu rakh de
har ek phuul ke lab pe mera lahu rakh de
zabaan-e-gul se chattanen tarashne wale
sukuut-e-naqsh mein aaraaish-e-namuu rakh de
giraan[heavy] lage hai jo ehsaan dast-e-qaatil ka
uth aur teg ke lab pe rag-e-guluu[neck's main nerve/vein] rakh de
chala hai jaanib-e-maikhana aaj phir waa_iz
kahin na jaam pe lab apne bevazu rakh de
khuda kare mera munsif saza sunane mein
mera hi sar mere qatil ke ruu-ba-ruu rakh de
samandaron ne bulaya hai tujhko ae 'bekal'
tu apni pyas ki sahra mein aabaru rakh de

No comments:

Post a Comment

wel come