Friday, July 17, 2009

daag dehlvi ki shayyiri

hum mit gaye toh pursish[puch-tach]-e-naam-o-nishan hai ab
usski talaash kar ki muhbbat kahan hai ab
main kya karun bala se jo tu meharban hai ab
vo dil kahan hai ab vo tabiyat kahan hai ab
tum parsa[nek] sahi magar itna toh soch lo
kuch dekh hi liya hai jo dil bad-guman hai ab
allah ! vo zamana-e-tasiir[asar] kya hua ?
kehne ke vaaste mere lab pe fugan[vilaap] hai ab
kya-kya milaye khaak mein insane chand se
sach puuchiye agar toh zamiin aasman hai ab
do zalimon mein laag[dushmani] hui mere vaaste
na mehrban hain vo toh falak meharban hai ab
muddat hui ki ‘daag’ ko sunte thay su-e-dair
kya jaane vo khudai ka maara kahan hai ab

No comments:

Post a Comment

wel come