Friday, July 17, 2009

daag dehlvi ki shayyiri

kya sabab shaad hai, bash’shash[kush] hai ji, aap hi aap
chali aati hai mujhe aaj hansi aap hi aap
abhi aayi bhi nahin kucha-e-dilbar se saba
khil gayi aaj mere dil ki kali aap hi aap
kabhi kasrat[bohat log] se garz hai kabhi vehdat[akelepan] manzoor
kabi vo anzuman aara hai, kabhi aap hi aap
dil ki ye aag hai ae ‘daag’ khabar lo jaldi
jo lagaye se lagi, kab vo bujhi aap hi aap

No comments:

Post a Comment

wel come