Wednesday, July 22, 2009

dr.darvesh bharti ki shayyiri

ek duje ka hi toh sahara waqt pe kaam aa jaata hai
waqt pade jab bhi main dil ko, dil mujhko behlata hai
rah-e-waffa mein jaane-waffa ka saath na jab mil paata hai
saat samandar paar ka sapna sapna hi reh jaata hai
jinke sahare beet raha hai ye sangharsh bhara jiwan
lamha-lamha unn yadon ka hi mann ko mehkata hai
chahe jitni andh-gufaon mein hum qaid rahe lekin
dhayan kisi ka jab aata hai andhiyara chant jaata hai
jiwan aur maran se ladne peech bhanwar jo chod gaaya
kya dekha mujh mein ab meri simt vo haath badhaata hai
kya dekha mujh mein ab meri simt vo haath badhata hai
koi jogi ho ya bhogi ya koi sanyasi ho
kheenchta chala aata hai jab bhi manmth dhawaj pherata hai
jis insan ki jitni hoti hai aukaat yahan ‘darwesh’
vo bhi uss par utna hi toh reham-o-karam barsata hai

No comments:

Post a Comment

wel come