Monday, July 13, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

hum ki thhehre ajnabi itni mulakaton ke baad
phir banege aashna kitni mulakaton ke baad
kab nazar mein aayegi be-daag sabze ki bahaar
khoon ke dhabe dhulenge kitni barsaton ke baad
thay bohat be-dard lamhe, khatam-e-dard-e-ishq ke
thi bohat be-mahar subahe meharbaan raaton ke baad
dil toh chaha par shikast-e-dil ne mohlat hi na di
kuch gile-shikwe bhi kar lete, munazaton ke baad
unnse jo kehne gaye thay, ‘faiz’ jaan sabka kiye
ankahi hi reh gayi vo baat sab baton ke baad

No comments:

Post a Comment

wel come