Saturday, July 4, 2009

hum jo pohnche sar-e-maqtal toh yeh manzar dekha

hum jo pohnche sar-e-maqtal toh yeh manzar dekha
sab se ooncha tha jo sar, nok-e-seena par dekha
humse mat pooch ke kab chaand ubharta hai yahan
humne suraj bhi tere shehr mein aa kar dekha
pyaas yaaron ko ab uss mod pe le aayi hai
reit chamki toh yeh samjhe ke samandar dekha
aise lipte hain dar-o-baam se ab ke jaise
haadson ne badi muddat mein mera ghar dekha
zindgi bhar na hua khatam qayamat ka azaab
hamne har saans mein barpa naya mehshar dekha
itna behis ke pighalta hi na tha baaton se
aadmi tha ke tarasha hua patthar dekha
dukh hi aisa tha ke roya tera ‘mohsin’ varna
gham chhupa kar usse hanste huye aksar dekha

No comments:

Post a Comment

wel come