Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

mazkuur[zikr] teri bazm mein kiska nahin aata
par zakir hamara nahin aata nahin aata
jeena hamen apna nazar islaa[hargiz] nahin aata
gar aaj bhi veh raqs-e-masiha nahin aata
bezaa hai dilaa [ ae dil !], usske na aane ki shikayat
kya kijiyga, farmayiye ? achcha, nahin aata
hum rone pe aa jaayen toh dariya hi baha den
shabnam ki tarah se hamen rona nahin aata
hasti se jayada hai kuch aaram adam[parlok] mein
jo jaata hai vaa’n se vo dobara nahin aata
gaafil ! hai bahaare-chamne-umar jawani
kar sair ki mausam ye dobara nahin aata
qismat hi se lachaar hun ae ‘zauq’ vagarna
sab fan mein hun main taak[daksh] mujhe kya nahin aata

No comments:

Post a Comment

wel come