Friday, July 3, 2009

judai dene wale tumse umeed-e-waffa kaisi

judai dene wale tumse umeed-e-waffa kaisi
ta'aluq toot jaye jab
mohabbat rooth jaye jab
toh phir rasm-e-dua kaisi
milan ki ilteja kaisi
bhanwar mein dolti kashtii pe saahil ki tamanna kya
ukhadte saans hon toh zindgi ki aarzu bhi kya
jo manzil kho chuki ho usski phir se justuju bhi kyun
magar dil ne tumhen kis vaste se yaad rakha hai
tumhen kyun shayri mein aaj tak aabad rakha hai
abhi tak maine kyun khud ko bohut barbaad rakha hai
hawa ke dosh par kyun nagma-e-faryaad rakha hai
judayi dene wale aashnai ki qasam tum ko
tumhari bewaffai, kaj-adaai ki qasam tum ko
mujhe itna bata dena
waffa ki chahton ki mash'alein kaise bhujate hain
nishan kaise mitate hain
bhulana ho jinhen unnko bhala kaise bhulate hain ... !!

No comments:

Post a Comment

wel come