Monday, July 6, 2009

meer taqi meer ki shayyiri

na socha na samjha na siikha na jaana
mujhe aa gaya khud_ba_khud dil lagana
zara dekh kar apna jalwa dikhana
simat kar yahin aa na jaaye zamana
zuban par lagi hain waffaon ki muharen
khamoshi meri keh rahi hai fasana
gulon tak lagayi toh aasan hai lekin
hai dushwar kaanton se daaman bachana
karo lakh tum maatam-e-naujawani
par 'meer' ab nahin aayega woh zamana

No comments:

Post a Comment

wel come