Thursday, July 23, 2009

shaam hone wali hai

ae musafir-e-tanha, shaam hone wali hai
jald laut ke ghar ja, shaam hone wali hai
baithne lage aa kar kya parind shaakhon par
dekh raks pedon ka, shaam hone wali hai
aaj paanv ke neeche, koi shai zamiin-sii hai
aaj kya ghazab hoga, shaam hone wali hai
reit ke samandar mein ek naav kaghaz ki
kaise sach hua sapna, shaam hone wali hai
jagmaga raha hai phir aasman chiikhon se
aur toota sunata, shaam hone wali hai
dhoondh ke dariche bhi bandh hone wale hain
bhool ja ki kya dekha, shaam hone wali hai

No comments:

Post a Comment

wel come