Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

cheen kar vo lazzat-e-soto-sada le jayega
haath shal kar jayega, harf-e-dua le jayega
beech ka badhta hua har faansla le jayega
ek tufan aayega sab kuch baha le jayega
dekhna ! badhta hua ye khwahishon ka silsila
mauj-e-khuun dikhlayega, range-hina le jayega
bemukaddar chod jayega sabhi peshaniyan
raushni aankhon ki seene ki jiya le jayega
ghar se jaate waqt vo ab ke buzurgon ki dua
le toh jayega magar darta hua le jayega
lams mein mil jayega aawaz ka asraar bhi
paaniyon ke paikaron ko bhi utha le jayega
ik parinda raat ki chokhat pe aayega ‘nizaam’
dekhna hai dega kya aur humse kya le jayega

No comments:

Post a Comment

wel come