Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

daricha raah koi dekhta hai
diya dahleez par bujhta hua hai
na manzil hai na koi naqsh-e-pa hai
yahan toh faasla hi faasla hai
hamare saath kya-kya ho gaya hai
mila tumse toh andaaza hua hai
zamane bhar ko ruswa karne wala
meri khatir bohat ruswa hua hai
banaunga main uss se kya bahana
vo mere sab bahane janta hai
zara-si baat thi tera bichhadna
zara-si baat se kya kuch hua hai
kisi ki zindgi hum jii rahe hain
hamari maut koi mar raha hai

No comments:

Post a Comment

wel come