Saturday, July 18, 2009

aarzu thi ek din tujhse miloon

aarzu thi ek din tujhse miloon
mil gaya toh sochta hun kya kahoon
ghar mein geharati khala hai kya karoon
har taraf diwar-o-dar hain kya karoon
jism tu bhi aur main bhi jism hun
kis tarah phir tera pairhan banoon
rasta koi kahin milta nahin
jism mein janmon se apne qaid hun
thi ghutan pehle bhi par aisi na thi
jii mein aata hai ki khidki khol doon
khudkushi ke sainkdon andaaz hain
aarzu ka hi na daaman thaam lun
sa’aatein sanatgari karne lagi
har taraf hai yaad ka gehra fasoon

No comments:

Post a Comment

wel come