Wednesday, July 22, 2009

shikwa koi dariya ka rawani se nahin hai

shikwa koi dariya ka rawani se nahin hai
rishta hi meri payas ka paani se nahin hai
kal yun tha ki ye qaide-zamani[samaye ki pabandhi] se thay bezaar
fursat jinhen ab saire-makani se nahin hai
chaha toh yakiin aaye na sachai pe isski
khaieef[dara hua] koi gul ahd-e-khizani[patjhad ka mausham] se nahin hai
dohrata nahin main bhi gaye logon ki baatein
iss daur ko nisbat bhi kahani se nahin hai
kehte hain mere haq mein sukhanfeham bas itna
shairon mein jo khoobi hai maaini[meaning] mein nahin hai


No comments:

Post a Comment

wel come