Wednesday, July 1, 2009

surender chaturvedi ki shayyiri

mat chiragon ko hawa do bastiyan jal jayengi
ye hawan vo hai ki jis mein ungliyan jal jayengi
maanta hun aag pani mein laga sakte hain aap
par magarmachhon ke sang machhliyan jal jayengi
raat bhar soya nahin gulshan yahi bas soch kar
vo jala toh saath usske titliyan jal jayengi
janta hun baad marne ke mujhe phonkege log
main magar jinda rahunga lakdiyan jal jayengi
usske baste mein rakhi jab maine mazhab ki kitab
vo ye bola abba meri kaapiyan jal jayengi
aag baabar ki lagao ya lagao ram ki
lag gayi toh aayetein chopaiyan jal jayengi

No comments:

Post a Comment

wel come