Saturday, July 4, 2009

tumhari aankhein kehti hain hisar-e-zaat se niklo

tumhari aankhein kehti hain hisar-e-zaat se niklo
tamnna meri ban jaao, shab-e-barbaad sw niklo
kinara thaam lo dil ka bhula do har gila shikva
kabhi sachi hansi hans do purani yaad se niklo
khayal-e-yaar acha hai magar jisne waffa na ki
palat kar phir sada na do, dar-e-fariyad se niklo
nahin koi muhbbat bhi, jijr rut bhi, raqabat bhi
toh yeh dhadka sa kya, kahiye, veham ki ghaat say niklo
sukhanvar humse kehta hai saja lo ankh mein kuch khwab
dhadkna dil ko sikhla do, amavas raat se niklo
nahin tumko gawara ab hamara qurb toh keh do
hamare qarb ki chodo, tum iss gardaab se niklo
sar-e-maqtal jo jaate ho, na ho darmandgi kuch bhi
zamana dekh tham jaaye, kuch iss andaas se niklo

No comments:

Post a Comment

wel come