Thursday, July 16, 2009

unknown

do din bhi agar meri si halat ho jaye
mallum shab-e-gham ki haqiqat ho jaye
bezurm-o-khata mujhko mitane wale
Allah kare tujhko mohbbat ho jaye
jab sabr karo nala-e-paiham na karo
jab main he nahi hoon to mera gham na karo
yeh apni ruswai hai apne haaton
lillah meri laash pe maatam na karo

wo unnko mera marg-e-nagahan nadeeda nadeeda
sab ke honton pe tabassum tha mere qatl ke baad
jaane kya sooch ke rota raha qaatil tanha
wo unnko mera marg-e-nagahan,nadeeda nadeeda

aur jigar mein chain lekin gufutu sanjeeda sanjeeda
ajab masti bhari aankhein magar tarseeda tarseeda
sar-e-baali tabassum lab pe dil ranjeeda ranjeeda
manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda

tamasha dekhiye meri rahd se sir nahi uth'ta
mujhe khud hi mita baithe hein aur khud hi pasehmaan hein
manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda

yeh kab se aa gayeen tabdeeliyan khayalon mein
huzoor kab se ghareebo ke khairkhuwah hoye
manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda

dam-e-akheer qayamat yeh dha raha hai koi
ke mout aane ko hai aur ja raha hai koi
mere khuda mujhe thori si zindagi de de
udaas mere janaze se ja raha hai koi, dekho
manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda

sabr-o-qaraar cheena, surat dikha ke tune
barbad ker dia dil, dil mein sama ke tune
basti ujaar dali, basti basa ke tune
arre apna bhi dil dukhaya, mujhko mita ke tune
ab manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda

bohot badnaam hoga hashr mein tu naam ke badle
unnhen shohrat se kya matlab jo hein Allah ke bande
yeh niyyat chod meri bandagi dekhen jahan wale
mazaa jab hai ke duniya par na ho zahir tere sajde
khuda ki tu ibadat ker magar poshida poshida

sajdo ka sail jannat maange
Allah se yeh ujrat maange
karta hai ibadat ka souda
zahid na hua mazdoor hua
bas ! khuda ki tu ibadat ker magar poshida poshida

kya ibadat hai teri jab ke tu yaksu hi na tha
rab to moujood tha ay shaikh wahaan tu he na tha
dil hai bhatka hua bekaif nazar aata hai
tu ibadat mein bhi dunya ki khabar rakhta hai

ek din majnu ka aisa haal tha
yaad-e-laila mein sarapa choda tha
khaak-e-sehra chhanta phirta tha wo
wahaane laila har ghari karta tha wo

hoshiyari dekheiye deewane ki
sair karne chal dia veerane ki
aadmi ek padh raha tha wahan namaaz
dil mein kuch rakhta na tha sooz-o-guzaar
kar raha tha wo namaz-e-haq adaa
majnu usske samne ho kar chala
khatam kar ke phir namaaz ussne kaha
tujhko doon iss fail ki mein kya saza
aa gaya meri ibadat mein khalal
samne se tu gaya mere nikal
bola majnu ke mein ne laila ki qasam dekha nahi

bola majnu ke mein ne laila ki qasam dekha nahi
varna samne sajde ke mein aata nahi
bola majnu ishq-e-laila mein sarapa choda tha
aur dekhne se main tujhe majboor tha
par tu khuda ke samne kaisa juhka
apni aankhon se raha tu dekhta
mujhko toh hai ishq fani zaat hai
tujhko toh hai ishq hai maula zaat tha
kiya issi ko kehte hein sooz-o-gudaas
kiya issi ko kehte hein sooz-o-gudaas
ja namaazi dekh li teri namaaz
bas ! khuda ki tu ibadat kar magar poshida poshida

le ke tasbeeh aur musallah ek aabid chal diya
dhoondne Allah ko sehra mein wo rehne laga
ek hiran bhi saath mein usske wahaan rehne laga
aur ussi sehra mein wo bhi dorne phirne laga

ek din zahid ne pocha yaar ye kya baat hai
arsa-e-muddat se tera aur mera saath hai
tujhko baithe dekhta hoon aur na sote dekhta
ya baga phirta hai tu aur ya ke rehta hai khada

sun ke bola yeh hiran ! ta'ajub ki kya baat hai
aashiqo ke waste kya din hai aur kya raat hai
mere andar mushk hai mein is liyeh rehta hoon mast
tere ander ishq hai tu is liye rehta hai mast

mushk ki khushboo se hardam doorta phirta hoon mein
apni aankhon se khuda ko dekhta rehta hoon mein
ussse milne ka tareeqa aa tu mujhse seekh le
ishq mein hasti mita de phir tu Allah dekh le

khuda ke waste zahid na ker numa'ishi sajde
khuda ki tu ibadat ker magar poshida poshida

jahan tak ho sake mazllum ko rone nahi dete
aur kisi nadaar ko bhooka kabhi sone nahi dete
baqar-e-pardaposhi khalk per khone nahi dete
khabar iss haath ki uss haath ko hone nahi dete
sakhi khairat karte hein magar poshida poshida

tumhare samne baitha hua hoon sakht mushkil mein
musafir jaise aa jata hai wehshat na toh manzil mein
bayaan karte huye darta hoon jo kuch hai mere dil mein
buri kuch aur toh baatein nahi hain teri mehfil mein
magar yeh chupke chupke guftugu poshida poshida

aur kisi ghar ki tarah takna kabhi phir mud ke ghabrana
kahin par chandni ko dekh kar saaye mein chupp jana
qamar ek hi na kya laakhon sitaro ne na pehchana
ajab andaaz se wade pe unnka raat ko aana
dabe paaon nazar behki hui poshida poshida
manaya ja raha hai mera gham poshida poshida...

sung by ustand nusrat fateh ali khan

No comments:

Post a Comment

wel come