Wednesday, July 22, 2009

waise hi ....


tujhe hai mashq-e-sitam ka malaal, waise hi ..
hamari jaan hai, jaan par wabal, wiase hi ..
chala tha zikr zamane ki bewafai ka
so aa gaya tha tumhara khayal, waise hi ..
hum aa gaye hain teh-e-daam, usski qismat hai ..
wagarna ussne toh phenka tha jaal, waise hi ..
zamana humse bhala dushmani bhi kya karta
tu kar gaya tha hamen payemal, waise hi ..
mujhe bhi shonq na tha dastan sunane ka ..
'faraz' ussne bhi poocha tha haal, waise hi ..!$!

3 comments:

  1. fraz ki shayari kitni kamal ki hai ye un ke chahne walon ki tadad se pata lag sakta hai ... hum to un ki shayari ke deewane hai... itni achchi shayari pesh karne ke liye shukriya

    ReplyDelete
  2. Behtareen ghazal...faraz saheb ke kya kehne...lekin roman men ise padhne men itna maja nahin aa raha aap ise devnagri men google transliterate ki madad se post kiya karen...
    shukriya
    Neeraj

    ReplyDelete
  3. "आप आये भी नही,मुझको बुलाया भी नही,
    मै कैसे मान लूं यादों में मेरी ताबे इश्क बाकी है."

    ’मन के सच’ पर सुन्दर comments के लिये शुक्रिया.
    कभी "सच में"(www.sachmein.blogspot.com)पर तशरीफ़ नुमा होने की ज़हमत करें.

    ReplyDelete

wel come