Friday, July 3, 2009

zameen jalti hai aur aasmaan toot’ta hai

zameen jalti hai aur aasmaan toot’ta hai
magar gureiz karein hum toh maan toot’ta hai
koi bhi kaam ho anjaam tak nahin jaata
kisi ke dhayan mein pal pal yeh dhayan toot’ta hai
keh jaise matn mein her lafz ki hai apni jagah
jo ek fard kate, karvan toot’ta hai
agar yahi hai adalat aur aap hain munsif
azab nahin jo hamara bayan toot’ta hai
waffa ke shehr ke raste ajeeb hain 'amjad'
har ek mod pe ek meherbaan toota hai

No comments:

Post a Comment

wel come